Thursday, December 1, 2011

Dushman Mera Song Lyrics Don 2
















Dushman Mera ( Lyrics )
Movie :Don 2
Music Director :Shankar, Ehsaan & Loy
Singer(s) :Sunitha Sarathy, Shankar Mahadevan
Lyricists :Javed Akhtar


Koi jaane na
Yeh kaisi aag hai
Mere dil ko dasta
Yeh kaisa naag hai
Har ghadi, mainm jisko dhoondun
Bachke na jaayega
Haan kahin, na kahin toh ik din
Mujhe mil hi jaayega
Dushman mera

Mujhe dhoondna, aasaan hai kahaan
Zameen dekh lo, ya aasmaan
Main ik pal yahan, main ik pal hoon wahan
Nahin paaoge, mera nishaan
Jo koi bhi, mujhko dhoonde
Woh kuch naa paayega
Dil mein hi, woh, dil ke armaan
Wapas le jaayega
Samjhe zara, dushman mera

Inn aankhon mein hai, jaane kaisi jwala
Iss ko matt bujhne dena, sunn lo mera kehna
Gusse mein kitni, tum dilkash lagti ho
Jab tak bhi reh pao tum, gusse mein hi rehna

Mera gussa toh, dekhoge ek din
Mere dil mein kya hai, jaanoge ek din
Tumse, main, itna keh doon
Woh din jab aayega
Dil mein hi, woh, dil ke armaan
Wapas le jaayega
Samjhe zara, dushman mera

Don 2 Mujhko Pehchaanlo Song Lyrics
















Mujhko Pehchaanlo ( Lyrics )
Movie :Don 2
Music Director :Shankar, Ehsaan & Loy
Singer(s) :K K
Lyricists :Javed Akhtar

Duniya mein logon ne
Phir apne dil thaame
Aaya hoon lekar main
Phir kitne hungame

Phir maine socha hai
Main jeetun sab haare
Darwaaze khul jaaye
Gir jaaye dewaarein
Mujhse takra paya hai kaun
Mujhko pehchaanlo, main hoon Don

Duniya mujhe jo bhi kahe
Iss ki mujhe parwah hai kya
Mujhko ko toh hai yeh dekhna
Jeetne ki hai raah kya
Jo mujhko, rokna chaahe
Unko hai, kya yeh pata

Don ko pakadna mushkil hi nahin namumkin hai

Duniya phir jeetne aya kaun (Don, Don)
Mujhko pehchaanlo, main hoon Don

Don

Don 2 Hai Ye Maya Song Lyrics




















Hai Ye Maya ( Lyrics )
Movie Don 2
Music Director :Shankar, Ehsaan & Loy
Singer(s) :Usha Uthup
Lyricists :Javed Akhtar

Hai Yeh Maya Song Lyrics Don 2 Movie Song

Na koi raat hai
Na koi din yahaan
Kya yeh andhera hai
Ki sirf hai dhuan
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Heere jo lagte hai woh
Mumkin hai angaarein ho
Chingaari lagte hai jo
Ho sakta hai taare ho
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya

Chehre hain sab ek se
Tu kaise pehchaanega
Dushman hai ya dost hain
Tu kaise yeh jaanega
Aankhein dhoka khaati hain yeh kisko pata nahin
Jaane kya hai yahaan aur jaane yahaan kya nahin
Hai ye maya Hai ye maya
Hai ye maya Hai ye maya

Zaraa Dil Ko Thaam Lo Song Lyrics















Zaraa Dil Ko Thaam Lo ( Lyrics )
Movie :Don 2
Music Director :Shankar, Ehsaan & Loy
Singer(s) :Vishal Dadlani, Anusha Mani
Lyricists :Javed Akhtar

Don 2 Zaraa Dil Ko Thaam Lo Song Lyrics

Dilkashi aur dilbari
Uski hai jadoogari oh

Dilkashi aur dilbari
Uski hai jadoogari oh
Jiski aankhein hai taare
Tehra jis pal hai saare
Aye dil yeh sach hai kya
Aaj woh hai kya, aa hi gaya

Zaraa dil ko thaam lo, naam lo
Keh bhi do hai kaun
Aa gaya, aa gaya
Laut ke, dekho Don

Jo na samjha koi main wohi raaz hoon
Jo kisi ka nahin hai woh andaaz hoon

Jo na samjha koi main wohi raaz hoon
Jo kisi ka nahin hai woh andaaz hoon
Main samandar se gehra
Main kahin kab hoon thehra
Main hoon, jaise dhuan
Yeh dhuaan kahin hai rukta kahan

Zaraa dil ko thaam lo, naam lo
Keh bhi do hai kaun
Aa gaya, aa gaya
Laut ke, dekho Don

Tu nahin hai dhuan
Ik shola hai tu meri jaan
Paas tere magar aaungi
Tujh mein hi jalke marr jaungi
Mujhko chaha toh paaogi kya
Main kahan jaaunga mera kya hai pata

Zaraa dil ko thaam lo, naam lo
Keh bhi do hai kaun
Aa gaya, aa gaya
Laut ke, dekho Don
Dekho Don

Aa Raha Hoon Palat Ke Song Lyrics














Movie : Don 2
Music Director : Shankar, Ehsaan & Loy
Singer(s) : Shahrukh Khan
Lyricists Javed Akhtar

Aa Raha Hoon Palat Ke Don 2 Movie Song Lyrics

Mere dushman samajh rahe thay main
Ab kabhi laut ke na aaunga
Ek gumnaami ka samundar hai
Uss mein hi jaa ke doob jaunga
Abhi baaki meri kahani hai
Saari duniya ko jo sunaani hai
Mujhe phechano, dekho main hun kaun
Aa raha hoon palat ke
Main hoon Don, Don, Don

The Dirty Picture Ooh La La Song Lyrics

The Dirty Picture Ooh La La Song Lyrics: The Dirty Picture Hindi Movie Songs Lyrics

Murder 2 Tujhko Bhulaana Song Lyrics


Movie Murder 2
Song Tujhko Bhulaana
Singer Sangeet Haldipur, Roshni Baptist
Producer Mukesh Bhatt

Executive Producer / Co-Producer
Kumkum Saigal
Director Mohit Suri
Music Director Harshit Saxena, Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur, Mithoon

Tujhko Bhulaana Song Lyrics of Movie Murder 2



Tujhko bhulaana
Aasu na laana
Ab aa gaya
(go away, stay away, you are not the one for me
go away, stay away, this is our realty)

Tujhko bhulaana
Aasu na laana
Aur muskuraana
Ab aa gaya, ab aa gaya

Yaadon se teri, daaman chhudaana
Dil na dukhaana, ab aa gaya, ab aa gaya

Sunn bewafa yeh, taiy kar liya
Reh lenge hum tere bin

Hey ab dard bhi kya hai, humko bhala
Raat aa gayi hai, tere mere darmiyaan ka jo hai faasla
Yaadon se teri, daaman chhudaana
Dil na dukhaana, ab aa gaya

Dil ke makaan se tu jaa chuka
Iss mein nahin tu ab raha

Meri dua mein, tu ab kahan
Tu ajnabi hai, tune inn mein rehne ka hai haqq kho diya

Tujhko bhulaana
Aasu na laana na laana
Aur muskuraana
Ab aa gaya

Hey yaadon se teri, daaman chhudaana
Dil na dukhaana, ab aa gaya, ab aa gaya, ab aa gaya

Murder 2 Phir Mohabbat Song Lyrics


Movie Murder 2
Song Phir Mohabbat
Singer Mohd Irfan, Arijit, Saim
Producer Mukesh Bhatt

Executive Producer / Co-Producer
Kumkum Saigal
Director Mohit Suri
Music Director Harshit Saxena, Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur, Mithoon

Phir Mohabbat Song Lyrics of Movie Murder 2

Jab jab tere paas main aaya, ik sukoon mila
Jise main tha bhoolta aaya, woh wajood mila
Jab aaye mausam gham ke, tujhe yaad kiya
Jab sehme tanha pann se, tujhe yaad kiya
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Aisa kyun kar hua, jaanu na main jaanu na
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Jis raah pe, hai ghar tera
Aksar wahan se haan main hoon guzra
Shayad yahin, dil mera haan
Tu mujkho mil jaaye kya pataa
Kya hai yeh silsila, jaanu na main jaanu na
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Kucch bhi nahin, jab darmiyaan
Phir kyun hai dil tere hi khwaab bunta
Chaaha ki de, tujhko bhulaa
Par yeh bhi mumkin ho na saka

Kya hai yeh maamla, jaanu na main jaanu na
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, yenhi ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil, sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Murder 2 Haal e Dil Hale Dil Song Lyrics


Movie Murder 2
Song Haal e Dil Hale Dil
Singer Harshit Saxena
Producer Mukesh Bhatt

Executive Producer / Co-Producer
Kumkum Saigal
Director Mohit Suri
Music Director Harshit Saxena, Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur, Mithoon

Haal e Dil Hale Dil Song Lyrics of Movie Murder 2


Hey kaash, kaash yun hota
Har shaam saath tu hota
Chhup jaa dil na yun rotaa
Har shaam saath tu hota

Guzaara ho tere bin guzaara ab mushkil hai lagta
Nazaara ho tera hi nazaara ab har din hai lagta

Hale dil tujhko sunaata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai chaahta jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

Tu meri raah ka sitaara
Tere bina hoon main awaara
Jab bhi tanhai ne sataaya
Tujhko besaakhta pukaara

Aa chaahat hai meri la fanaa
Par meri jaan dil mein hoon rakhta haan

Hale dil tujhko sunaata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai chaahta jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

You're the one to me
I love whats meant to be
I know you feel it too, if I look at you

Khwaabon ka kab tak loon sahara
Ab toh tu aa bhi ja khudara
Meri yeh dono paagal aankhein
Har pal maange tera nazaara
Aa samjaun inko kis tarah
Inpe mera bas nahin chalta haan

Haal-e-dil tujhko sunaata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai chaahta jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

Murder 2 Aye Khuda Song Lyrics


Movie Murder 2
Song Aye Khuda
Singer Kshitij Tarey, Saim, Mithoon
Producer Mukesh Bhatt

Executive Producer / Co-Producer
Kumkum Saigal
Director Mohit Suri
Music Director Harshit Saxena, Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur, Mithoon

Aye Khuda Song Lyrics of Movie Murder 2

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein firat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, aye khuda ..

Itni khataayein tu le kar chala hai
Daulat hi jaise tera ab khuda
Har pal bitaaye jaise tu hawa hai
Gunah ke saaye mein chalta raha
Samandar sa beh kar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune har dafaa
Tu hi tera mujrim bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Kyun judta iss jahaan se tu
Ik din yeh guzar hi jaayega
Kitna bhi samayet le yahaan
Mukti se fisal hi jaayega

Har shaksh hai dhool se bana
Aur phir uss mein hi ja mila
Yeh haqeeqat hai tu jaan le
Kyun sacch se munh hai pherta

Chaahe jo bhi hasrat poori kar le
Rukeygi na fitrat yeh samajh le
Mitt jaayegi teri hassti

Barh na paayega yeh dil bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya

Agar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam uth zara
Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apna le tu zara

Tu kahe tu hai saaye se girah
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunah ko khud pe le liya
Meri nazaron mein bekasoor tu

Aisa koi manzar tu dikhla de
Mujhe koi shaksh se milwa de
Aise koi dil se tu sunwa de
Ke zakhm koi usse na milaa
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya